ب

khwab nama khwab main baat karna dekhna

khwab nama khwab main baat karna dekhna

khwab nama khwab main baat karna dekhna

1 khwab me mukhtalif
2 zubaano me baat karna hakumat k maalik hone ki daleel he is tarha murde ya parinde ka baat karna sahib e khwab k liye bari hakumat illm aor samajhdari paane ki khushkhabri he
3 agar kisi ne dekha k oont ya oontni ya maindha aor koi chopaya sahib e khwab se baat kar k keh de k me ne khwab dekha he magar wo khwab bayan nahen kar pata he to sahib e khwab k liye jang,jhagre,halakat or mulk hath se nikal jane ki daleel he
4 kisi ne khwab dekha k kutta,cheeta,ya baaz us se keh raha he mene khwab dekha ,ye husool e ghaneemat or suroor ki BASHARAT HE-parinda ki har baat nek or khair he_
5 kisi k sath parinda khwab men baat kare to ye sahib e khwab k buland martaba hone ki alamat he
6 agar kisi k sath saanp narm lehje me baat kare to us ko apne dushman ki taraf se suroor or khair (bhalaaie) naseeb hogi or logon ko us se taajub
7 agar kisi k sath chopaye (4 pairon waly janwar)baat kren to uski maot hogi ALLAH TAALA ka qaol he tarjuma( aor jab par chukey gi un par baat naikalen ge ham unk aage ek janwar jo zameen se baaten kare ga
8 agar kisi k sath uska sar( head) ya naak(nose) baat kare to us uzw k sabab wo mazoor hogaya usko sakht mushkilaat pesh aaen gi
9 kisi k sath darakht ya koi aesi chiz jo sahib e khwab ki muafiq ho baat karen us se aesi chiz haasil hone ki daleel he jis se logon ko hairaani hogi
10 khwab me bache ka baat karna khua jis kaifiyat se bhi ho jo kuch kaha haq hone ki daleel he kabhi bache ka khwab me bolna na jaiz kaamon me mubtlaa hone ki alamat he
11 agar yahi khwab koi sahib e khair dekhe to log us se ajeeb mamlaat rakhen ge – ya wo khud ajeeb khabar se waaqif hoga – ya wo shaher me ajeeb mamlaa dekhe ga ya sunne ga
12 jamadaat (jo chiz harkat na kre) ka bolna sulhaa aor naseehat par dalallat karta he
13 haiwaan ka bolna kisi azaab par dalallat karta he
14 darakht ka bolna buland martba paane ki taraf ishara he
15 mardoon ki bateen fitna hen
16 darindoon ka baaten karna tangdasti ki alamat he
17 aezaa o jawareh ka bolna gunah sarzad hone ki alamat he kisi bhi chiz ka kalaam karna ALLAH ya kitaab sunnat e RASOOL ( sallalla ho allehi wa aalihi wasallam )ya aqal k mutabik ho to ye mahel tabeer he aor is kalaam ko sunne waly k liye behtar he aor us k mutabik ammal karna zaroori he – agar kitaab ALLAH or SUNNAT E RASOOL k mukhalif ho to iski koi tabeer nhe he aor na hi is par ammal karna zaroori he
18 aezaa me se kisi uzw ka hamkalaam hona sahib e khwab k liye rishtedaaron doston shareekon ki taraf se naseehat he is par ammal karna zaroori he kyun k qayamat k din ye aezaa us k khilaaf gawahi den ge
19 haiwaan ka kalaam krna yaqeen karne bhaiyoun k sath rehaish akhtiyar karne aor ehl e taa’at k sath manoos hone ki alamat he
20 dewaar ka kalaam karna bhaiyoun ki judai se darana he aor kabhi iska kalaam karna aapas me mushajrat par bhi dalallat karta he aor kabhi deewar ka kalaam karna sahib e khwab k rafaa qadar hone ki daleel he is liye k ye NABI PAAK k maojzaat me se hai ya usk mazhab ki salamati ki daleel he ya us k liye hidayat ki daleel he kyun k ALLAH TAALA hazrat musa (allehe salam) se darakht k zariye mukhatib hua tha
21 dushman ka khwab me kalaam karna muddate hijir (judai ka waqt) khatam hone ki daleel he
22 khwab me kalaam karne me sabkat karna bedaari me masbook hone ki alamat he ya phir aesa hoga jaesa dekha he
23 agar kisi ne khwab me ghaibi awaz suni jis men ammar o nahi ya koi zajar ya basharat ho to aesa hi hoga jesa dekha

 

khwab nama khwab main baat karna dekhna

 

 

 

اچھا خواب نعمتِ خدا وندی

حضورﷺ نے ارشاد فرمایا ” بشارتوں کے سوا کوئی چیز باقی نہیں رہی ۔ صحابہ نے عرض کیا ےیا رسولاللہ بشارتوں سے کیا مراد ہے آپ نے فرمایا سچا خواب ۔(صحیح بخاری عن ابی ھریرہ) بخاری ومسلم کی متفق علیہ حدیث ہے آنحضرت ﷺ نے ارشاد فرمایا کہ سچا خواب نبوت کا چھیاسواں حصہ ہے ۔

اس حدیث شریف معلوم ہوا کہ سچا خواب رویائے صالحہ علوم نبوت کا ایک جزو ہے اور علم نبوت باقی ہے گو انبیاءکرام کی آمد کا سلسلہ موقوف ہوچکا دوسرے لفظوں میں سچا خواب علوم نبوی کا عکس ہے۔

خواب کی اقسام

امام محمد بن سیرین ارشاد فرماتے ہیں کہ خواب تین قسم کے ہوتے ہیں ۔

1- مبشرات خداوندی –

2- تخویفِ شیطان) شیطان کے زیرِ اثر ) –

3- حدیثِ نفس یعنی ذہنی اور دماغی خیلات کا عکس –

اس تقسیم سے ظاہر ہوتا ہے کہ خواب کے تمام اقسام صحیح قابلِ تعبیر اوردر خوراعتناء نہیں ہوتے تعبیر اور اعتبار کے لائق وہی خواب ہوتے ہیں جو حق تعالیٰ کی طرف سے بشارت اور اعلام پر مبنی ہوں۔

علم تعبیر کے چھ مشہور امام
-علم تعبیر میں درج ذیل چھ آئمہ کرام کے اقوال کے بطور سند پیش کیا جاتا ہے
حضرت دانیال علیہ اسلام
حضرت امام جعفر صادق رضی اللہ تعالیٰ علیہ
حضرت امام محمد بن سرین رحمتہ اللہ علیہ
حضرت امام جابر مغربی رضی اللہ تعالیٰ علیہ
حضرت امام ابراہیم کرمانی علیہ رحمتہ اللہ علیہ
حضرت امام اسمعیل بن شوکت رحمتہ اللہ علیہ
تعبیر بیان کرنے کیلئے ضروری علوم
۔علم تفسیرعلم ضرب الامثالعلم حدیثاشعار عربعلم اشتقاق (صرف)نوادرعلم الغاتعلم الفاظ متد اَولہچنانچہ ایسے علماء ہے تعبیر بیان کرنے کے اہل ہیں جو ان علوم کے ماہر اور متقی پرہیزگار ہوں ۔

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button