ب

Khawab Nama Khwab Main Bahesht (jannat) Dekhna

Khawab Nama Khwab Main Bahesht (jannat) Dekhna

Khawab Nama Khwab Main Behashat Dekhnabahesht2

Khawab Nama Khwab Main Bahesht (jannat) Dekhna

Khawab Nama Khwab Main Bahesht (jannat) Dekhna hazrat ibne sirin ne farmaya khwab me jannat dekhna HAQ TAALA ki taraf se khushi o khush khabri he farman e HAQ TAALA he (is me aman o salamti k sath dakhil ho jau)
agar dekhe k jannat k meewey liye ya kisi ne diye aor khaye to daleel he jis qadar meewey khaye hen usi qadar ilm o daanish aor deen ki khaslat sikhey ga lekin faaida na uthaey ga.
agar koi shakhs khwab me hooron ko bhi dekhe to daleel he nazaa ka waqt ( maot k waqt jo takleef hoti he) aasan hoga aor agar dekhe k jannat me rehta he lekin weeran he to daleel he fasaad o gunah ki taraf maail hoga
agar khwab dekhe k jannat k darwaaze us apr band kar diye gae hen daleel he us k maa baap us se naraaz honge

agar dekhe k jannat k paas ja kar wapas aaya he to daleel he maot ki beemari me mubtlaa hoga lekin shifa paaye ga
agar dekhe k farishte hath pakar kar usko jannat me le gae hen aor waqt par tuba k saaye me baitha he to daleel he dono jahan ki muraad paaye ga farman e HAQ TAALA he (ink liye khush khabri aor achha thikana he)


agar dekhe k sharaab aor sheer ( meetha ) peene se mana kia he to ye usk deen ki tabahi ki alamat he farman e HAQ TAALA he (Aor jo shakhs ALLAH k sath shirk karega to ALLAH ne us par jannat haraam kar diya he ) agar dekhe k jannat k meewey usko kisi ne diye hen to daleel he k isk ilm se hissa hoga


aor agar dekhe k jannat me aag daali he to daleel he kisi k baagh se haraam chiz khaye ga agar dekhe k haoz e kaosar se paani piya he to daleel he dushman par fatah paaye ga aor agar dekhe k use jannat ka mahel diya gya he to daleel he mashuqa dil araam kaneez usko mile gi aor nikah kare ga


hazrat jabar maghrabi ne farmaya he k agar dekhe k darwaze ka darbaan usk barabar khush o khuraum he to daleel he kisi se khurum o shadmaan hoga aor neemat paaye ga farman e haq taala he (tum par salam ho khush raho hamesha k liye dakhil ho jau )
aor agar dekhe k achhi jaga bullandi par he k jannat ki surat he wo janta he k jannat he to daleel he badshah aadil k sath ya ameer sath ya kisi buzurg aalim k sahth musahibat kare ga agar dekhe k jannat ki taraf jata he to daleel he raah e haq par he
hazrat jafar sadiq ne farmaya khwab me jannta ka 9 waja par he
1 illm 2 zohud 3 ehsaan

4 khushi 5 basharat 6 amman

7 khair o barkat 8 naimat 9 saadat
agar koi dekhe k jannat me he to daleel he dono jahan ki muraad paaye ga us k hath se bahut si khairaat hogi agar maslah dekhe to daleel he beemari ya bala me giriftaar hoga chunacha ehle jannat ka sawab paaye ga aor aalim hoga aor log usk ilm se nafa paayen ge

 

اچھا خواب نعمتِ خدا وندی

حضورﷺ نے ارشاد فرمایا ” بشارتوں کے سوا کوئی چیز باقی نہیں رہی ۔ صحابہ نے عرض کیا ےیا رسولاللہ بشارتوں سے کیا مراد ہے آپ نے فرمایا سچا خواب ۔(صحیح بخاری عن ابی ھریرہ) بخاری ومسلم کی متفق علیہ حدیث ہے آنحضرت ﷺ نے ارشاد فرمایا کہ سچا خواب نبوت کا چھیاسواں حصہ ہے ۔

اس حدیث شریف معلوم ہوا کہ سچا خواب رویائے صالحہ علوم نبوت کا ایک جزو ہے اور علم نبوت باقی ہے گو انبیاءکرام کی آمد کا سلسلہ موقوف ہوچکا دوسرے لفظوں میں سچا خواب علوم نبوی کا عکس ہے۔

خواب کی اقسام

امام محمد بن سیرین ارشاد فرماتے ہیں کہ خواب تین قسم کے ہوتے ہیں ۔

1- مبشرات خداوندی –

2- تخویفِ شیطان) شیطان کے زیرِ اثر ) –

3- حدیثِ نفس یعنی ذہنی اور دماغی خیلات کا عکس –

اس تقسیم سے ظاہر ہوتا ہے کہ خواب کے تمام اقسام صحیح قابلِ تعبیر اوردر خوراعتناء نہیں ہوتے تعبیر اور اعتبار کے لائق وہی خواب ہوتے ہیں جو حق تعالیٰ کی طرف سے بشارت اور اعلام پر مبنی ہوں۔

علم تعبیر کے چھ مشہور امام
-علم تعبیر میں درج ذیل چھ آئمہ کرام کے اقوال کے بطور سند پیش کیا جاتا ہے
حضرت دانیال علیہ اسلام
حضرت امام جعفر صادق رضی اللہ تعالیٰ علیہ
حضرت امام محمد بن سرین رحمتہ اللہ علیہ
حضرت امام جابر مغربی رضی اللہ تعالیٰ علیہ
حضرت امام ابراہیم کرمانی علیہ رحمتہ اللہ علیہ
حضرت امام اسمعیل بن شوکت رحمتہ اللہ علیہ
تعبیر بیان کرنے کیلئے ضروری علوم
۔علم تفسیرعلم ضرب الامثالعلم حدیثاشعار عربعلم اشتقاق (صرف)نوادرعلم الغاتعلم الفاظ متد اَولہچنانچہ ایسے علماء ہے تعبیر بیان کرنے کے اہل ہیں جو ان علوم کے ماہر اور متقی پرہیزگار ہوں ۔

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Check Also
Close
Back to top button