ب

khwab mein sar ke baal dekhna

khwab mein sar ke baal dekhna

khwab mein sar ke baal dekhna kya aap jante hen kay khwab main sar kay baal dekhne ki kya tabeer he aur kya ho sakti he Umeed yeh cheez aap ko kisi aur website par ya kisi aur ne aj tak aap ko nahin btai hogi jo aaj ham aap ko btayen ge insha allah, is main aap ko har trah kay khwab ki tabeer mile gi Balon se Related, Khwab Main aap k baal girte hen, khwab main koi aap k baal katta he, khwab main koi aap k balon k sath khelta he, khwab main aap k baal chhote hen, khwab main aap k baal seedhe hen ya seedhe the aur ghunghriyale ho gaye hen.

khwab mein sar ke baal dekhna ki tabeer aap ko niche list main btai gai he ager kam parhe houwe hen to aap urdu main bhi read kar sakte hen ager aap india se hen to aap hindi main bhi read kar sakte hen asaani se ham pori koshish akrte hen k ham apne user ko har trah se saholiyat muhiya karen jisse hamare user ko faida ho,

khwab nama khwab main sar ke baal dekhna

sar-ke-baal2-5

sar-ke-baal3-5

sar-ke-baal4-5

sar-ke-baal5-5

 تشریح میں بالوں سے مراد پیسہ اور لمبی عمر ہے، زراعت، پیسہ، عزت، اکیلی عورتوں کے شوہر اور سنگل مردوں کی بیویاں۔
شاید اچھے بال اچھے اعمال کی نشانی ہوں، اور آدمی کے بال اس کے لیے آرائشی، حفاظتی اور پائیدار خزانہ ہیں۔ جو اس کے بال دیکھے گا وہ لمبی عمر پائے گا۔
بالوں کی کثرت کا مطلب اس کی پریشانی میں اضافہ کرنا ہے، جب کہ خوش مزاج شخص کے لیے بالوں کی کثرت اس کی خوشی میں اضافہ کرتی ہے۔ جو شخص حج کے موسم میں اپنے بال کٹوانے کا خواب دیکھتا ہے وہ اچھے قرض، کفارہ، قرض کی ادائیگی، قرض سے فرار، حفاظت اور سلامتی کی طرف اشارہ کرتا ہے۔
چوٹی سے مراد ہنر اور پیسے کا جمع ہونا ہے اور یہ قرض کی نشاندہی کر سکتا ہے۔ بیمار بوڑھی عورت کے بال کاٹنے سے اس کی زندگی ختم ہو سکتی ہے۔ ضرورت سے زیادہ بالوں کا گرنا خوشحالی اور خوشی کے بڑھتے ہوئے جذبات کی نشاندہی کر سکتا ہے۔
ایک آدمی اپنے ہاتھ میں بالوں کا تالا دیکھتا ہے، جو کہ ایک خوشخبری ہے، اور خواب میں یہ تقسیم، دولت، قرض کی ادائیگی، وعدوں کی تکمیل اور لمبی عمر کا اشارہ دے سکتا ہے۔ آپ کے سر کے بالوں کو کھونے کا خواب دیکھنا آپ کے والدین کی پریشانیوں اور پریشانیوں کی نشاندہی کرتا ہے۔
غریب آدمی کے بال گرنے کا مطلب بہت زیادہ قرض ہے۔ بالوں کا جھڑنا بڑھاپے کے خوف، کشش کی کمی، جیورنبل اور جیورنبل کی نشاندہی کر سکتا ہے۔ اگر کوئی عورت اپنے بال کٹے ہوئے دیکھے تو یہ اس بات کی علامت ہے کہ اس کا اپنے شوہر سے جھگڑا ہے۔
جو شخص اپنے بالوں کو اپنے پرانے بالوں کی جگہ بڑھتے ہوئے دیکھے گا وہ اسے بڑی فکرمندی سے پائے گا۔ جو شخص بالوں کو واپس بڑھتے ہوئے دیکھے یا جہاں وہ نہ بڑھتے ہوں تو کیا اس کی فکر یا دین اس کی ہتھیلی پر بڑھ رہے ہیں اور اگر بال اس کی ہتھیلیوں پر بڑھیں تو فائدہ ہے۔
اور جو کوئی حاملہ عورت کو دیکھے اور مونچھیں بڑھائے تو اس کے ہاں بیٹا پیدا ہو گا اور اگر وہ بانجھ ہو تو وہ بچہ نہیں دے گی۔ اگر کوئی شخص اپنے بالوں کو واجب نہ سمجھے تو یہ نقصان یا مالی پریشانی کی علامت ہے جس طرح داڑھی اور بغل کے بال اکھاڑنا مال خرچ کرنے اور پریشانیوں اور وعدوں کو ترک کرنے کی علامت ہے۔ اس سال. بغل خواب
لمبے بال ضروریات کی تسکین، مالک کے مذہبی عقائد کی درستگی اور اس کی سخاوت کی نشاندہی کرتے ہیں۔ اگر کوئی عورت اپنے بالوں کو چمکتے ہوئے دیکھے تو اس کا مطلب ہے کہ اس کے پاس شوہر کے پیسے نہیں ہیں۔ عورت کے سیاہ بالوں کا گرنا اس کے شوہر کی اس سے محبت اور اس کی زندگی میں خوشیوں میں اضافے کو ظاہر کرتا ہے۔ اور بالوں کا گرنا بھی اس بات کی علامت ہو سکتا ہے کہ ناظرین نے ایک بہترین موقع گنوا دیا، جس کا انہیں افسوس ہے۔ اور جو لوگ یہ سمجھتے ہیں کہ وہ مکمل طور پر بالوں کے بغیر ہیں، اس سے یہ ثابت ہوتا ہے کہ اس کا ان کے ساتھ بہت زیادہ رابطہ ہے، اور وہ بہت زیادہ وزن اٹھائے ہوئے ہوں گے۔ اور مردوں کے بال لمبے ہوتے ہیں کیونکہ یہ درد اور تکلیف ہے۔ عورت کے بالوں کی لمبائی اس کی خوبصورتی اور چمک میں اضافہ کرتی ہے۔

اور ابرو کی ظاہری شکل، رقم اور سجاوٹ کو بڑھایا جائے تو اسے لمبی عمر کہا جاتا ہے۔ جو شخص خواب میں دیکھے کہ اس کے جسم کے بال بڑھ رہے ہیں، اگر وہ شریف ہے تو یہ اس کے مال و جلال میں اضافہ ہے۔ سفید بالوں کو خواب میں دیکھنا قرض، عزت اور لمبی عمر میں اضافے کی طرف اشارہ کرتا ہے، کیونکہ لمبی عمر والوں کو سفید بال نظر آتے ہیں، اور کہا جاتا ہے کہ سفید بالوں کا مطلب پیسے کی کمی ہے۔
یہ اللہ تعالیٰ کی کمزوری کو ظاہر کرتا ہے: (لہذا کمزوری کی طاقت کے بعد تعمیر کرو)۔ لڑکوں کے لیے اس کا مطلب ہے 🙁

یہ حاملہ عورت کے ساتھ ایک نوجوان ہے.
ابن سیرین نے کہا: مجھے اس بات سے نفرت ہے کہ ایک نوجوان خواب میں سفید ہو جائے۔ کیونکہ وہ غریب ہے. خدا جانتا

ہے.

khwab mein sar ke baal dekhna

  1. agar dekhe k sar k baal lambey ho gae hen to daleel he wo ummar lammbi paaye ga
  2. agar dekhe k usk baal chhote the aor mazeed baal sar men lagae hen agar sahib e khwab ghanni tha to uska maal aor barh jae ga qarza se tijarat kare ga agar khwab dekhne wala tangdast he to daleel he us par bahut sara qarz he
  3. agar dekhe k usk baal sidhey hen ya ghungriyaaly hen to sharafat o sabar ki daleel he
  4. agar dekhe k usk sidhay baal ghungriyaaly ho gae hen to zaleel o aajiz hoga aor uski halat badtar ho jae gi
  5. agar dekhe k usk ghungriyaaly baal sidhay aor lambe ho gae hen to daleel he uska maal bat jae ga agar baal narm o mulaaim hen to usk sardar k maal men izafa hoga agar wo ghanni tha to wo uska maal he agar tangdast tha to ye uska wajib ul ada qarz he
  6. agar dekhe k usk baal ghungriyaaly hen to daleel he to daleel he usk sardar ko siyadat o izzat hasil hogi
  7. jis ne dekha k usk baal lambey hen aor wo khush he to ye mubarak he khas taor par aorton k liye kyun k aorteen dosron k baal zeenat ki gharz se istimaal karti hen
  8. agr kisi ne dekha k usk sar k baal baht hen aor darhi bhi lambi hogai he aor litten bana li hen to daleel he usk zimme bahut sary wajib ul ada qarz hen baal ki tabeer maal se bhi ki jaati he us shakhs k haq men jo inka maalik he ya jo unko jama karta he aor mounchho aor baghlon k baalon ka zaail karna qarz se barri hone ‘gham k door hone’sunnat ki pairvi ki daleel he baalon ki litten banana kaamon ki pukhtagi ki alamat he aorton k baalon ki litten khair ki alamat hen jo shakhs aam taor par bhi litten bana k rakhta ho wo maal hifazat se rakhta aor jama karta he faqeer o nabeena k haq men litten tangi ki alamat hen
  9. agar dekhe k baal aesi jaga pe nikal rahe hen jahan mumkin nhe hen to daleel he usko sadma mile ga
  10. agar dekhe k haj k dino men baal mundwa raha he ya kaat raha he to amman ki alamat he baal nochna o kutarna bashart ye k insano k bigaarh k liye na hon gham zaail hone ki daleel he baaz khwab ki tabeer biyan karne waly kehte hen baalon ko nochna daleel he k khwab dekhne wala na chahte huy qarz ki adaigi kare ga
  11. agar haashmi ne dekha k usk baal bahut lambe hen to daleel he wo ghulaamoo ka maalik bane ga jab koi faoji ya sipahi aesa koi khwab dekhe to daleel he usk aslaah o zeenat men izafa hoga
  12. agar dekhe k usk baal ghorey k baalon ki manand ho gae hen to daleel he ye shakhs agar bhagora ya chor he to daleel he ghora chori kare ga agar wo azaad he to usko bachna chahiye kahin ghulaam na bana liya jae
  13. agar kisi ne dekha k usk baal khinzeer k baalon ki tarha hen to sakhtiyoun ki daleel he
  14. baalon ka ziyada hona ghammo ki alamat hen agar wo baalon k ziyada hone par khush he to khushiyoun k ziyada hone ki alamt he aor aorat k baalon ka kala hona is baat ki daleel he k uska shohar us se muhabbat karta he aor har haal men istiqamat ka daman thame rakhta he
  15. agar aorat ne dekha k usne baal kholey hen to daleel he uska shohar kahin ghaib hoga
  16. agr dekhe k aorat hamesha nange sar rehti he to daleel he uska shohar laut kar na aaye ga agar khwab dekhne waali kanwari hen to kabhi uski shadi nhe hogi
  17. agar kisi aorat ne dekha k usk baal bahut ziyada hen aor log dekh rahe hen to daleel he wo aorat ruswa hogi
  18. agar kisi ne dekha k uskl sar par baalon ki mindhiyan ( chhoti chhoti chuttiya) hen to ye usk mazboot hone ki daleel he
  19. agar dekha k usk sar k pichly hissy k baal jhar gae hen to daleel he ye shakhs kisi waqt zaleel hoga
  20. agar dekha k isk sar k pichley hissy k baal gir gae hen to daleel he burhaape men zillat uthae ga
  21. agar dekhe k right side k baal gir gay hen to daleel he qaribi reletivs(rishtedar) me se koi mard nuksaan de ga
  22. agar left side k baal gir gae hen to daleel he apne reletives me se koi aorat usko takleef de gi agar uska koi reletives nhe hen to usko khud se takleef mile gi
  23. baghlon k baal lambe dekhna alamat he maqsad k pura hone deen ki mazbuti ki aor izzat o taoqeer ki alamat he
  24. agar dekhe k baghal k baal kaseer ziyada hen to daleel he apni mustaqil mizaagi ki waja se bahut sa maal hasil kare ga magar wo deen ki taraf dhiyaan nhe de ga
  25. agar dekhe k baghal k baalon me bahut si juen hen to uski aolaad ziyada hogi
  26. agar dekhe k usk baal aam routine se bhi ziyada lambe hogai hen aor use pasand the to daleel he uski khwahish aor iraade hen use ghana(maal o daolat) hasil hoga aor apne qarze chukaaye ga aor ghar walon par kharch kare ga
  27. agar dekhe k usk baal itne lambe hen jiski koi misaal nhe he aor wo logon k saamne jarha he to daleel he us par bahut sara qarz charhe ga aor usko qarz ko utarna mushkil hoga baaz tabeer biyaan karne walon ka kehna he k baalon ki taweel lambai shakawat (jis se logon ko shikwa ho)ki alamat he aor baaz ka kehna he ye aolad o rishtedaron ki kasrat ki alamat he aor baaz ka kehna he k khuda k khaof me izaafa hoga aor dunya me ranjida hoga
  28. jisne dekha k usk baal pehle se kam hogae hen to daleel he usk gham me kammi hogi
  29. agar dekhe k koi usk baal ukhaar raha he to daleel he usko maal k hawale se museebat hasil hogi
  30. agar aorat dekhe k ghair maosam e hajj ( aam dino me ) mard usk sar k baal kat raha he to daleel he husband wife me jhagra hoga aor shar fasad ka samna karna pare ga agar ye hajj k maosam men dekha to ye aorat k deendar hone diyanat aor dunyavi zindagi ki bahetri daleel he
  31. khwab mein sar ke baal dekhna

  32. agar dekha k koi mard usk sar ki back side k baal kaat raha he to daleel he uska shohar us se chhup kar ghair aorton se taaluq rakh raha he
  33. agar dekha k wo munasib miqdar me sar me teel laga raha he to ye usk liye khubsurti ki daleel he
  34. agar teel sar se bahey gya to daleel he gham milega
  35. agar us teel ki khushbu achhi he to achhi shohrat hasil hogi
  36. jis ne dekha k wo sar me jueen(lice) dekh raha he to daleel he ise baaz ayuub ka ilm hoga
  37. jisne dekha k wo sar me kangha(comb) karha he aor sar se juun giri he to daleel he wo wirasat me mile maal me se kharch kare ga aor uska koi raaz zahir hga
  38. agar dekhe k usk kuch baal wapis agae hen to daleel he uska kuch maal ja chuka ya jaae ga
  39. agar dekha k baal chehre ya aesi jaga ugg rahe jahan nhe ugne chahiyen to daleel he us par bahut saary qarze charhen ge
  40. agar kisi ne dekha k uski hatheli par baal ugg rahe hen to daleel he profit hasil kare ga
  41. seene ya zubaan par baalon ka ugna hikmat quwwat e biyaan( jisko koi na kar sake) ki daleel he
  42. agar baal had se barh gae hen to phir gham o sadmaat ka samna kare ga
  43. agar kisi ne dekha k usk peet par bahut saare baal ugg aaye hen to daleel he bahut ghamgeen aoq maqrooz( jis par bahut sara qarz ho) hoga
  44. agar kisi ne dekha k baazu k baal jharh rahe hen to daleel he uski kamai zaaya hogi
  45. jine dekha k uski pindliyoun k baal ghanne hogae hen aor wo unhe batt(mundh raha he) to us se maal hasil hoga aor use aesa kaam nhe karna chahiye jo k log nhe karte aor logon se darna chahiye
  46. aorat ka apne sar k baalo ko dekhna aorhni he baaz martba baalon se muraad kheti baarhi maal jaah kunwaari ko shohar milne aor khubsurat aolaad k hone ki daleel he
  47. baalon k lamba hona black hona unki khushhaali ki alamat he
  48. baalon ka sufaid hona chhota hona badbu bad haali ki alamat he
  49. agar dekha k baalon ko teel laga raha he aor kanghaa kar raha he husn e salook ki daleel he aesa admi jo baalon ko pasand nhe karta baalon ko kaatna ya chhote baal karte huye dekhna bayecote qatta e taaluq(rishtedari khatam karna) aor fazool kharchi ki daleel hai aor baalon ka chhota hona illm o hidayat ki nishani he maosam e hajj me ye khwab dekhna hajj karne ki alamat he
  50. baalon ki latten banana maal jama karne aor food stock ki alamat hai
  51. kangha karna ya juoon ko nikalna jhagraalon logon ko ilaaqe se baahir nikalna hai
  52. agar dekha k apni bivi k baalon me kangha kar raha he to baaz aoqaat ye daleel hai wo use talaaq de ga
  53. baalon ka taveel hona us shakhs k liye jis k liye lambe baal darust nahe ya us k shayaan e shaan nhe hen gham qarze aor bad naseebi ki daleel hai aor jis par lambe baal achhe lagte hon ye un k liye khushhaali aor bahut ziyada maal milne ki daleel hai baalon ka mamool k khilaaf taveel hona shehwat e raani qarzoon afqaar bad naseebi aor tafaaruq ki daleel hai
  54. baaz martba achhe baal dekhna ache amwaal ki daleel hai aor baaz martba khubsurat lambey baal or latten dalallat karti hen sher o nazam par aor baaz martba baal dalallat karte hen nek faali par shart ye k baal khwab men khubsurat dikhai de rahe hon
  55. agar baal khwab men khubsurat na hon to fasaad ki daleel hen
  56. agar khwab men dekha k baal kharab hen to resha taari hone ki alamat he
  57. agar aorat ne khwab me baalon ki latten banai to daleel he uska shohar usko 3 talaaq de ga agar wo beemar thi to maot waaqe hogi
  58. jisne dekha k usk chhote baal lambe ho gae hen to daleel he us par koi saanp hamla kare ga
  59. agar aadmi k baal kisi janwar k baalon ki tarha ho gae hen to daleel he wo mushaqqat me pare ga

Related Articles

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button