Khawab Nama Khwab Main Barish Dekhna
Khawab Nama Khwab Main Barish Dekhna
Khawab Nama Khwab Main Barish Dekhna
Khawab Nama Khwab Main Barish Dekhna
Hazrat daniyal alie asslam ne prmaya hey ke baarish
main khwab haq talah ki turaf se bandon pr rahmat or
brkat hey jab aam baarish ho or sub juga phonche .prman
e haq talah hey (tarjamah) esi ki zaat e paak hey jo naumeedi
ke baad baarish barsata hey or apni rahmat ko phelata hey )
or baarish ka waqt pr dekhna bahot acha hey khas kr jab log
baarish ko chahin to nihahyt naek hey ,lakin ager khas sakht
baarish sirf apne kocha main dekhe ke us ke siwa or kahin
nahin barusti hey to ahil mozon pr ranh or bimari ki dalleel hey ,
Khawab Nama Khwab Main Barish Dekhna
or ager dekhe ke baarish ahista ahista ho rahi hey to
ahil mozon pr khair or barkat ki dalleel hey
or ager dekhe ke awal saal ya awal manh baarish barus
rahi hey to dalleel hey ke us saal or us manh main fraghi
nemat ziyada hogi or ager dekhe ke baarish sakht or
siya hey to dalleel bimari pr hey ke us main halak hoga.
Hazrat ibne sereen rahmat allah alie ne prmaya hey ke ager
koi shaks khwab main sakht baarish dekhe ke apne waqt pr
barsi hey to dalleel hey ke in dinon main rang o gum ka lashkar ayega.
or ager dekhe ke abebaranh se massha krta hey to aamr ki
dalleel hey ke khof o gum se ammn main rahe ga.
or ager khwab main dekhe ke baarish us ke sar pr brasti hey
Khawab Nama Khwab Main Barish Dekhna
to dalleel hey ke wo sufer ko jaye ga or khair o nafah ke
saath wapas aye ga.or ager koi shaks khwab main dekhe ke
baarish logon ke saron pr tufaan ki tarhan barusti hey to
es aamr ki dalleel hey ke us mulk main khuda na khawasta
nagahani mot aye gi or ager dekhe ke baarish ke har ak
kattre se awaz ati hey to dalleel hey ke us ke martabe or izat ki awaz ziyada hogi.
or ager dekhe ke baarish ke pani ke saath masah krta hey dalleel hey
ke khof or dehsht se ammn main hoga, or ager khwab main dekhe
ke bahot barhi baarish horahi hey or tamam nahiren jari hogi
hain or es ko nuksaan nahin phoncha hey to dalleel hey ke
badshah sakhti kre ga or sahib khwab es ke shur se mahfooz
rahe ga, ager dekhe ke un nahiron se ghozr nain sakta hey
Khawab Nama Khwab Main Barish Dekhna
to dalleel hey ke badshah ki shararat ko apne ap se door kre ga.
or ager dekhe ke pani hawa se baarish ki turhan ata hey
to dalleel hey ke haq talah ka azab or bimari es juga zahir hogi.
Hazrat krmani rahmat allah alie ne prmaya hey ke ager baariskh
ki juga shadd ko barudta howa dekhe to dalleel hey ke nemat
or ghanemat es mulk main bahot hogi or jo cheez ke asmaan
se barusti hoi dekhe to es ki taweel es cheez ki jins se hey
or ager dekhe ke baarish ka pani pita hey or wo pani saaf
or roshan hey to dalleel hey ke es ko essi qadar khair or
rahat phonche gi or ager dekhe ke baarish ka pani siya
or bemaza hey dalleel hey ke ussi qadar bimari or rang uthae ga.
Hazrat jafar sadiq rahmat allah ali ne prmaya hey ke khwab main baarish ka dekhna baranh waja pr hey .(1) rahmat (2) barkat (3) faryad chanha (4)rang o bimari (5) balla(6) larhi (7) khon bahanh (8) fitnah (9) kahet(10) aman pana (11) kofar (12) jhot.
اچھا خواب نعمتِ خدا وندی
حضورﷺ نے ارشاد فرمایا ” بشارتوں کے سوا کوئی چیز باقی نہیں رہی ۔ صحابہ نے عرض کیا ےیا رسولاللہ بشارتوں سے کیا مراد ہے آپ نے فرمایا سچا خواب ۔(صحیح بخاری عن ابی ھریرہ) بخاری ومسلم کی متفق علیہ حدیث ہے آنحضرت ﷺ نے ارشاد فرمایا کہ سچا خواب نبوت کا چھیاسواں حصہ ہے ۔
اس حدیث شریف معلوم ہوا کہ سچا خواب رویائے صالحہ علوم نبوت کا ایک جزو ہے اور علم نبوت باقی ہے گو انبیاءکرام کی آمد کا سلسلہ موقوف ہوچکا دوسرے لفظوں میں سچا خواب علوم نبوی کا عکس ہے۔
خواب کی اقسام
امام محمد بن سیرین ارشاد فرماتے ہیں کہ خواب تین قسم کے ہوتے ہیں ۔
1- مبشرات خداوندی –
2- تخویفِ شیطان) شیطان کے زیرِ اثر ) –
3- حدیثِ نفس یعنی ذہنی اور دماغی خیلات کا عکس –
اس تقسیم سے ظاہر ہوتا ہے کہ خواب کے تمام اقسام صحیح قابلِ تعبیر اوردر خوراعتناء نہیں ہوتے تعبیر اور اعتبار کے لائق وہی خواب ہوتے ہیں جو حق تعالیٰ کی طرف سے بشارت اور اعلام پر مبنی ہوں۔
علم تعبیر کے چھ مشہور امام |
-علم تعبیر میں درج ذیل چھ آئمہ کرام کے اقوال کے بطور سند پیش کیا جاتا ہے 1 حضرت دانیال علیہ اسلام 2 حضرت امام جعفر صادق رضی اللہ تعالیٰ علیہ 3 حضرت امام محمد بن سرین رحمتہ اللہ علیہ 4 حضرت امام جابر مغربی رضی اللہ تعالیٰ علیہ 5 حضرت امام ابراہیم کرمانی علیہ رحمتہ اللہ علیہ 6 حضرت امام اسمعیل بن شوکت رحمتہ اللہ علیہ |
تعبیر بیان کرنے کیلئے ضروری علوم |
۔علم تفسیرعلم ضرب الامثالعلم حدیثاشعار عربعلم اشتقاق (صرف)نوادرعلم الغاتعلم الفاظ متد اَولہچنانچہ ایسے علماء ہے تعبیر بیان کرنے کے اہل ہیں جو ان علوم کے ماہر اور متقی پرہیزگار ہوں ۔ |