Khwab Mein Baarish Dekhna
Khawab Nama Khwab Mein Baarish Dekhna
Khawab Nama Khwab Mein Baarish Dekhna
Hazrat daniyal aliehe asslam ne farmaya hey ke khwab men baarish HAQ TAALA ki taraf se bandon par rehmat or barkat hey jab aam baarish ho or sab jaga pahonche .farman e HAQ TAALA hey (tarjamah) isi ki zaat e paak hey jo na umeedi ke baad baarish barsata hey or apni rehmat ko phailata hey ) or baarish ka waqt par dekhna bahot acha hey khas kr jab log baarish ko chahen to nihayat naek hey ,lakin ager khas sakht baarish sirf apne ghar main dekhe ke us ke siwa or kahin nahin barasti hey to ahl e maoza par ranh or bimari ki dalleel hey,
Khawab Nama Khwab Mein Barish Dekhna
or ager dekhe ke baarish ahista ahista ho rahi hey to ahl e maoza par khair or barkat ki dalleel hey or ager dekhe ke awal saal ya awal maha baarish baras rahi hey to dalleel hey ke us saal or us maha main fraghi
naimat ziyada hogi or ager dekhe ke baarish sakht or siyah hey to dalleel bimari par hey ke us main halak hoga.
Hazrat ibne sereen rahmat allah alie ne farmaya hey ke ager koi shaks khawab main sakht baarish dekhe ke apne waqt par barsi hey to dalleel hey ke in dino main rang o gum ka lashkar ayega.
or ager dekhe ke barish se massah krta hey to aamr ki dalleel hey ke khof o gum se ammn main rahe ga. or ager khwab main dekhe ke baarish us ke sar par brasti hey
to dalleel hey ke wo safer ko jaye ga or khair o nafah ke saath wapas aye ga.or ager koi shaks khawab main dekhe ke baarish logon ke sarron par tufaan ki tarha barasti hey to is aamr ki dalleel hey ke us mulk main khuda na khawasta nagahani maot aye gi or ager dekhe ke baarish ke har ak kattre se awaz ati hey to dalleel hey ke us ke martabe or izat ki awaz ziyada hogi.
or ager dekhe ke baarish ke pani ke saath massah krta hey dalleel hey ke khaof or dehsht se ammn main hoga, or ager khwab main dekhe ke bahot barhi baarish horahi hey or tamam nehreen jari hogi hain or is ko nuksaan nahin phoncha hey to dalleel hey ke badshah sakhti kre ga or sahib e khwab is ke shar se mahfooz rahe ga, ager dekhe ke un nehroon se ghozar nain sakta hey to dalleel hey ke badshah ki shararat ko apne ap se door kre ga.or ager dekhe ke pani hawa se baarish ki tarhan ata hey to dalleel hey ke HAQ TAALA ka azab or bimari is jaga zahir hogi.
Hazrat karmani rahmat ullah alihe ne farmaya hey ke ager baarish ki jaga shahed ko barasta howa dekhe to dalleel hey ke naimat or ghanemat is mulk main bahot hogi
or jo cheez ke asmaan se barasti hui dekhe to is ki taweel is cheez ki jins se hey or ager dekhe ke baarish ka pani pita hey or wo pani saaf or roshan hey to dalleel hey ke is ko issi qadar khair or rahat pahonche gi or ager dekhe ke baarish ka pani siyah or bemaza hey to dalleel hey ke ussi qadar bimari or ranj uthae ga.
Hazrat jafar sadiq rahmat ullah alehe ne farmaya hey.
- khwab main baarish ka dekhna 12 waja par hey
- .(1) rehmat
- (2) barkat
- (3) faryad chahna
- (4)ranj o beemari
- (5) bala
- (6) larai
- (7) khoon bahana
- (8) fitnah
- (9) qahet
- (10) aman pana
- (11) kufur
- (12) jhot.
- khwab men agar barish se nuqsaan punhche to ye khair o rizq or rehmat ki daleel he barish insaan ki hayyaat ya wada wafaaie ki daleel he
- 2 agar barish muttayan jaga men hui to ye is k rishtedaron k gham men mubtala hone ya khud sahib e khwab ko pareshane la haq hone ki daleel he
- 3 or agar baarish aam or nuqsaan deh ho jese aasmaan se khoon ya pathar baras rahe hon to ye muaasi or gunaahon ki daleel he agar saahib e khwab musaafir ho to us ka safar taatul(cancel) ka shikaar hoga
- 4 nafa dene wali barish dushmano se sulaah safai ya museebat zada shakhs k imdaad ki daleel he or barish ki tabeer oonton ka qafla bhi he jese oonton k qafle ki tabeer barish he
- 5 khwab men aam barish dekhna muattal (ruke hue) kaam k karne ki daleel he or us se khair o naimat or barkat hasil hogi
- 6 or agar wo gham zada ya maqrooz ho to us ka gham or qarz door hoga_barish us saal ki kushaada haali or madad ki daleel he
- 7 sirf apne ghar men barish ka nuzool na doosre logon par to ise khair o manfat or karamat hasil hogi (yani us par karam hoga)_
- 8 jo dekhe barish ka pani har jaga behta he or darkhton ko ukhar raha he to ye badshah ki taraf se fitna o fasad barpa karne ki daleel he
- 9 agar zameen par khoon ki barish ho to ye azaab ki daleel he
- 10 kisaan agar khwab me barish dekhe to ye BASHARAT OR KHUSHHAALI HE jo use hasil ho gi’baaz kehte hen
- 11 barish agar mitti ki ho yani mitti barasti ho magar gard o ghubaar na ho to bhi daleel khush haali ki he
- 12 or shehed ki baarish har tarha k aadmi k liye khair ki daleel he ghee doodh or raughan e zaitoon ki barish ki bhi yehi tabeer he’barish allah tala ki rehmat he ‘us k deen ar insaan ki kushadgi aor madad ki daleel he baarish kabhi naazil shuda aafat par daleel he jese tiddiyan oolay aor aandhi khasusan jab us men aag ho aor paani garam ho baarish fitnoo ao khoon rezi par bhi dalallat karti he
- 13 be waqt ki baarish amraaz o beemariyon ki daleel he
- 14 aor apne waqt par hone waali baarish safar ya ammal k cancel karne ya marz ya faqar k sabab usk kaam ka multawi hona ya jail me qaid hone ki daleel he
- 15 agar baarish me ghusl e janabat(ham bistri k baad kiya jane wala ghusul) kia he ya baarish k paani se namaz ka wazu kia he ya us se nijasat ko dhoya he jo nijasat us k kapron ya jism par lagi thi to agar sahib e khwab kaafir he to musalman hoga gunehgaar he to tauba kare ga faqeer ho to
- ALLAH TAALA use ghanni karega agar badshah k paas uski haajat ho to puri hogi
- 16 aasman se talwaaren barasti dekhna logon k larai o fasaad me mubtlaa hone ki tabeer he
- 17 jo dekhe k wo baarish ka paani peeta he to agar paani saaf o shfaaf ho to khair hasil hogi agar maila o gadlaa paani ho to jis qadar paani piya he usi qadar marz laahaq hone ki alamat he