khwab mein Aoly dekhna
khwab ki tabeer khwab men aoly dekhna
Khwab Mein Aoly Dekhna hazrat ibe sirin ne farmayahe k shaher me ya kisi gaaon me olay baraste hain daleel he wahan k logon ko bads
- hazrat ibe sirin ne farmayahe k shaher me ya kisi gaaon me olay baraste hain daleel he wahan k logon ko badshah se ranj pahunche ga agar dekhe k bijli barish karak olon k sath he daleel he us jaga kahet tangi or nuksan hoga
- hazrat ibraheem karmani ne farmaya he k Khwab Mein Aoly Dekhna to neemat or farakhi or amman par daleel he
- hazrat jafar sadiq ne farmaya khawab me oolon ka dekhna 5 waja par he
- 1 balaa 2 jhagra 3 lashkar 4 kahat 5 bemari
bard oolay
khawab me oolay barasne ki tabeer badshah ki taraf sesaza or azab aam amwal k chale janeor zarb shadeed or dard me mubtla hone ki nishani he - 2 kisi ne dekha he be maosam aasman se olay baraste hain ya baraf bari hoti he to ye sahibe khawab k beemari me mubtla hone k baad sehatyab hone ki daleel he
- 3 kisi ne dekha k oolay ya baraf usk badan par gir rahe hain to ye usk baaz maal k zaya hone ki alamat he
- 4 baraf bari k maosam me baraf bari gham o dukh k khatam hone dushmano or hasidon k zaleel hone ki daleel he is liye k us se zameen ko thandak hasil hoti he jis se sanp or bicho waghaira zahir hote hain
- 5 kisi ne dekha k itni teez barish hui k jis se makanaat or rastay barbaad hogay hain or chalna mushkil hogya to ye muashi bohran ki taraf ishara he or safar k muattal hone ki bhi alamat he
- 6 khawab me aalay dekhna zarrar ki alamat he agar dekhe k oolay baras rahe hain lekin kisi ko nuksan nahe hua to ye khair ki alamat heagar log is se bartan bhar len ya kuch kha len to ye rizq k milne ki taraf ishara he
- 7 zameen par ollay ka parna nazool e rehmat ki daleel he
- 8 fasal or nabatatpar baghair nuksan k ollay barasna khair or khushhali ki taraf musher he kabhi yahi khawab faslon par tiddiun ki b alamat he
- 9 agar olon se faslon ko ya makanaat ko nuksan hua he to maali nuksan or tawaan ya phore phinsiyun me mubtla hone ki alamat he
- 10 agar kisi ne dekha kolon ko chhalni kapra ya kisi chez me uthaya hua he jis me pani nhe dala jata to tabeer he agar sahibe khawab maaldar o ghani he to usko maali nuksan hoga ya uska karobaar kam hoga agar uska maal darya me he to dubne ka khtra he agar sahibe khwab faqeer he to uski mohtaji khatam hone ki daleel he