Khawab Nama Khwab Main Bachhra Dekhna

Khawab Nama Khwab Main Bachhra Dekhna

Khawab Nama Khwab Main Bachhra Dekhna

Hazrat ibne sereen rahmat allah alie ne farmaya hey ke ager khwab mian dekhe ke us ne bachhraa liya hey ya us ko kisi ne  diya hey dallleel hey ke us ke han larka paida hoga or ager bachhri hey to larki hogi or ager dekhe ke bachhre ko ghar main le gaya hey ya us ko kissi ne diya hey or us par haath phera hey dalleel hey ke gamnaak hoga.
Hazrat ibrahim karmani rahmat allah alie ne farmaya hey ager dekhe ke bachhraa es ke gher main chalta phirta  hey to gum o andwa par dalleel hey ke or ager dekhe ke es ne jangli bachhraa pakrha hey to farzand par dalleel hey or ager dekhe ke bachhre ki pushht par sawar hey dalleel hey ke ajmi baadshah ko mile ga or es se murtabah paye ga .

Hazrat jabar maghrbi rahmat allah alie ne farmaya hey ager dekhe k us ka bachhraa mar gaya hey .dalleel hey us ka farzand marre ga or ager dekhe ke us ka bachhraa zayah howa hey dalleel hey ke us ke farzand es se judai talash kren ge ager dekhen ke es ke paas bachhraa hey or us ne uska gosht khaya hey dalleel hey ke apne farzand ki meraas khaye ga.

Hazrat issmail ashas rahmat allah alie ne farmaya ager dekhe ke bachhraa sufaid hey dallleel hey ke us ka farzand parsa or mubarak or tawangar hoga or ager eblaq dekhe to darmiyane darje pr dalleel hey or ager bachhraa qawwi or farbah hey dalleel hey ke us ka farzand tandarust or naek ahwaal hoga or ager zaeeyf or dubllah hey to es ki taweel khilaf hey.

Bachhraa (ajjal)
(1)khwab main bachhraa mazkora aullad hey jabke use gaaye janne ya use koi hibah kre isi tarha har prinda bhuna howa

(2) bachhraa khof se ammn hey jese hazrat ibrahim alie aslam ke qissa main hey

(3)bachhraa aullad hey jis se insaan ko bhalai hassil ho .kabhi bachhraa gum masiiyat or ALLAH TAALA ki ataa;at se kharoj hey

(4) ager aurrat soone gold ka zewar ya umda libas dekhe to farhat o suroor ki dalleel hey .kabhi es se fitnah bhi murad hota hey

(5) mota bachhraa muzakkar larke ki basharat or dushmanon par madad hey

(6)ager dekhe ke koi bachhraa ya bachhri ka goshht khata hey to use mard ya aurrat ki janb se maal hassil hoga

(7)ager dekhe ke bachhre ya bachhri par wazzan lada hey or use ghar main dakhil kiya hey to use shadeed gum lahaq hoga. Gaaye ka bachhraa (faseel )
(1)khwab main gaaye ka bachhraa dekhna shareef larke ki dalleel hey

(2) ager kissi ne khwab main dekha ke us ke paas gaaye ka bachhra hey to uske han larka paida hoga .baz ne kaha ke ager wo bachhraa ya kissi bhi janwar ki aullad esko choye to yeh gum or huzzan main mubtala hone ki dalleel hey.

Khawab Nama Khwab Main Bachhra Dekhna
bachhra2bachhraa3
bachhra-2

 

اچھا خواب نعمتِ خدا وندی

حضورﷺ نے ارشاد فرمایا ” بشارتوں کے سوا کوئی چیز باقی نہیں رہی ۔ صحابہ نے عرض کیا ےیا رسولاللہ بشارتوں سے کیا مراد ہے آپ نے فرمایا سچا خواب ۔(صحیح بخاری عن ابی ھریرہ) بخاری ومسلم کی متفق علیہ حدیث ہے آنحضرت ﷺ نے ارشاد فرمایا کہ سچا خواب نبوت کا چھیاسواں حصہ ہے ۔

اس حدیث شریف معلوم ہوا کہ سچا خواب رویائے صالحہ علوم نبوت کا ایک جزو ہے اور علم نبوت باقی ہے گو انبیاءکرام کی آمد کا سلسلہ موقوف ہوچکا دوسرے لفظوں میں سچا خواب علوم نبوی کا عکس ہے۔

خواب کی اقسام

امام محمد بن سیرین ارشاد فرماتے ہیں کہ خواب تین قسم کے ہوتے ہیں ۔

1- مبشرات خداوندی –

2- تخویفِ شیطان) شیطان کے زیرِ اثر ) –

3- حدیثِ نفس یعنی ذہنی اور دماغی خیلات کا عکس –

اس تقسیم سے ظاہر ہوتا ہے کہ خواب کے تمام اقسام صحیح قابلِ تعبیر اوردر خوراعتناء نہیں ہوتے تعبیر اور اعتبار کے لائق وہی خواب ہوتے ہیں جو حق تعالیٰ کی طرف سے بشارت اور اعلام پر مبنی ہوں۔

علم تعبیر کے چھ مشہور امام
-علم تعبیر میں درج ذیل چھ آئمہ کرام کے اقوال کے بطور سند پیش کیا جاتا ہے
حضرت دانیال علیہ اسلام
حضرت امام جعفر صادق رضی اللہ تعالیٰ علیہ
حضرت امام محمد بن سرین رحمتہ اللہ علیہ
حضرت امام جابر مغربی رضی اللہ تعالیٰ علیہ
حضرت امام ابراہیم کرمانی علیہ رحمتہ اللہ علیہ
حضرت امام اسمعیل بن شوکت رحمتہ اللہ علیہ
تعبیر بیان کرنے کیلئے ضروری علوم
۔علم تفسیرعلم ضرب الامثالعلم حدیثاشعار عربعلم اشتقاق (صرف)نوادرعلم الغاتعلم الفاظ متد اَولہچنانچہ ایسے علماء ہے تعبیر بیان کرنے کے اہل ہیں جو ان علوم کے ماہر اور متقی پرہیزگار ہوں ۔

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button