khwab nama khwab main asp ghora dekhna
khwab nama khwab main asp ghora dekhna
khwab nama khwab main asp ghora dekhna
hazrat daniyal as ne farmaya arbi ghore ko khawab me dekhna buzargi or izzat o jah ki daleel he agar dekhe k arbi ghore par betha he or ghora matee o farmanbardar he to izzat o buzargi ki daleel he magar isi andaze k mutabik jis kadar ghora umda he
agar koi shakhs dekhe k ghora liya he lekin arbi ghora nahe he ya kisi ne usko diya he us par betha he daleel he sharf o buzargi ghore ki nisbat kam paega agar dekhe k ghore k saman me kammi he maslan zeen ya namda ya lagaam nahe he daleel he usi kadar buzargi me nuksaan hoga agar khawab me dekhe k ghore ka gosht khaya he to daleel he badshah uska khawasgaar hoga usko apna masahib banaega agar dekhe k kisi k peechhe ghore par betha he or dekhe k usk pechhe koi betha he to peche bethne wala aage bethne wale ka matee o farmanbardar hoga
agar dekhe k bahut se ghore usk ghar ya kuche k gird jama hain us jaga barish kasrat se hogi or sailaab aega hazrai ismaeel ne farmaya agar dekhe k teez raftaar oe khush raftaar ghore par betha he to ek maaldaar or saleh aorat apni zojiyat me layega agar wo iska ehel nahe to aesi aorat se masahebat karega us se nafa paega agar dekhe k usk ghore ka kaan kata hua he daleel he sardaron ka paigham us se kat jaaega agar dekhe k ghora sar k bal gira or phir utha he daleel he usk kaam me khalal parega phir sahi hojaega
agar dekhe k dum kata ghora khareda us par betha he daleel he be assal aorat ka shohar banega agar dekhe k ghore ne usko dolatti mari he daleel he usk ayaal faziliyaat me mashghol ho jaenge agar dekhe k ghore par hawa me gaya he phir hawa me utra he daleel he badshah k hathon halak hoga
agar dekhe k kisi ne usk ghore ko churaya he khaof he uska ayaal halak hoga agar dekhe k uska ghora gum hogya he daleel he wo apni aorat ko talaak dega agar dekhe kapne ghore ko farokht kar diyaa he daleel he uski izzat o martba kam hogaya wo apne ayaal se alag hoga agar dekhe k ghore par ulta betha he daleel he uska kaam kharab hoga usko zarrar or malamat hasil hogi
hazrat jabar ne farmaya khawab me ghora dekhna apne nafas ko dekhna he agar dekhe k ghora sarkash he daleel uski khawahishe nafs sarkash he agar dekhe k uska ghora matee o farman bardar he daleel he uski khwahishe nafs baddi me nihayat sakht he agar dekhe k ghore k kisi uzw par badshahi nishan he or badshah k khun ko ghore par dekhe to izzat o riffat ki daleel he aam logon ka khawab me ghora dekhna izzat o bakht he agar dekhe k na maloom ghora us mahalle se nikla he daleel he us gaaon muhalle ya kuche me se kisi admi i wafat hogi hazrat khalid ne farmaya khawab me palaan wala ghora mard ka naseeb he jis kadar palaani ghora matee o farman bardar hoga usi kadar mard ka naseeb matee o farman bardar hoga agar dekhe k palaani ghora shaher gaaon ya saraay me gya he daleel he mard musafir ajmi us jaga aega
agar dekhe k ghore ki dum moti or lambi he to daleel he usi kadar usk k nokar chakar honge agar dum katti hui dekhe to daleel he usk koi nokar chakar na honge agar dekhe k koi cheez ghore k jism me nakis thi todaleel he usi kadar izzat o sharafat me nuksaan hoga agar dekhe k ghore k sath jang ki he or ghora ghalib aya he or farma bardar nahe hua to gunah o nafarmani ki daleel he hazrat ibne sirin ne farmaya agar koi shakhs dekhe k barhana ghore par betha he todaleel he uski museebat o gunah ziyada honge agar wo ghora kisi or ka he to uska bhi yahi haal he jo ham ne btaya he agar dekhe k ghora barhana he lkin uska matee o farman bardar he
agar dekhe k palai ghora us shaher gaaon ya muhallay me aya he daleel he mard musafir us jaga aega