khwab nama khwab men chasham dekhna
khwab nama khwab men chasham dekhna
khwab nama khwab men chasham dekhna
khwab nama khwab men chasham dekhna
hazrat ibne sirin ne farmaya khawab me aankh ka dekhna ek beena mard he jis se raah e hidayat paega garba aankh biddat he pink aankh beta he agar dekhe k khud nabeena hogya he to daleel he raah e hidayat se gum hoga ya uska farzand marre ga
agar dekhe k uski ek aankh andhi hogai he to daleel he uska adha deen zaya hoga ya us ne bahut bara gunah kiya he ya usk ek hath ya ek paaon ya jism k kisi hisse par musebat aey gi ya uska adha kaam kharab hoga
hazrat ibrahim karmani ne farmaya k agr dekeh k aankh me surma lagaya he to daleel he deen ki islah talash karega agr dekhe k surme se uska maksad zeenat o araesh he to daleel he logon k samne apne aap ko ba amanat dendar zahir karta he tak unse izzat paey agar dekhe k uski aankh ki benai kamzor hogai he to daleel he wo zahir o batin me 2 rawiyya yani munafiq he
agr dekhe k usk jism par bahut si ankhen hen or sab chizon ko kamil taor par dekhta he to ye islahe deen ki daleel he or shareeat k faraiz o sunten achhe se ada karta he
agar dekhe k kisi ne uski ankh nikal di he to daleel he jis chiz se uski ankh roshan thi maslan aorat beta makaan bagh wo uski nazar se ghaib hojaega aesy k wo phir na dekh saky ga
hazrat jabar maghrabi ne farmaya agar lohy ki ankh dekhe to uska parda fash hoga agar dekhe k uski dono ankhon me warm( sujan) he aankh khul nahe sakti daleel he mukhalif admi ki sohbat me bethe ga agar aankh k noor me kamzori dekhe to daleel he usko ataat karne me nuksaan hoga agar apni dono aankhen nikli hui dekhe to deen shareeat se be behra hoga agr dekhe k usk chehre k damyan ek aankh he to daleel he deen k mamley me apni zubaan se nalike baten karega agar dekhe k uski aankhen roshan hen or log maloom karte hen k andhi hen to daleel he uska deen ka bati zahir se behtar he agar koi dekhe k uski siyah aankhen kakki hogai hen to ye baddi or haal k badalne ki daleel he
farmane HAQ TAA,LA he tarjuma ( or ham gunahgaro ko qayamat k din girba aankhen kar kuthaen ge )
agar dekhe k uski dono ankhen sufaid ho k phir siyah hogai hen to daleel he bemaar hoga ya kisi se jhgara karega or agar dekhe k aankh siyah hogai he or sufaidi nahe rahi daleel he k mutakabbir hoga agar dekhe k uski ek aankh par aafat pahunchi he to daleel he usk beton ko aafat pahunche gi agar dekhe k kisi ne hath barha kar ankh nikal li he to daleel he koi usk bete to rah se ly jaega
agar dekhe k kisi ne uski aankh bandhi ya hath me li he to daleel he usk farzand ya maal ko nuksan hoga ya gunah karega agar dekhe k uski aankh se khun jari he ya nikla he to daleel he usko apne farzand se koi gham milega ya usk maal ka nuksaan hoga
hazrat ismael ne farmaya agar koi dekhe k uski ankh kaan hogai he or kaan ankh hogya he to daleel he larki wali aorat karega or dono se jamaa karega agr dekhe k uski ankh kaffe dast par he to daleel he bahut sa maal paega agar dekhe k uski ankh me sufaidi he to daleel he usko gham pahunche ga farmane HAQ TAA,LA he gham k mare uski doo ankhe sufaid hogai
insani aankh
1khawab me aankh admi ka deen he uski wo baseerat he jis k zariye wo hidayat or gumrahi ko dekhta he jo shakhs apne jism par jitni ankhen dekhe us me utna hi ziyada deen o neki pai jati he
2agar koi shakhs apne dil ki aankh ya bahut ziyada ankhen dekhe to bhi uski nuraniyat ki daleel he
3agr kisi ki aankhon ko gusse se surkh dekhe to wo admi isk sath keena rakhta he or kisi tadbeer me mshghol he
4agar dekhe k kisi ne is par aankhen kholi hen to wo admi isk kaamon par nazar rakh raha he
5agar dekhe k uski aankh lohay ki he to uski parda darri hogi or use logon se shadeed gham mile ga
6agar aankh ko zinna karta hua dekhe to daleel he wo aorton par burri nazar rakhta he
7agar kisi ne ankh ko dekha or wo ise bhalli lagy to wo aesa kaam karega jo deen k liye nuksan hoga
8agar apne pet ko phar kar dekha us me kai ankhe nazar aey to aesa admi zindeeq he ALLAH TAA,LA farmata he allah ne nahe rakhe kisi mard k andar do dil
9agar apne kandhe par kisi janwar ya admi ki ankh dekhe to usy ghaibi maal hasil hoga
10agar apniaankh surkh dekhe to apne dost ki bivi ko shak ki nazar se dekhe ga
11 black ankh deen
12black surkhi mail ankhen deen ki mukhalfat blue aankh biddat par dalallat karti he
13green ankh aesa deen he jo baki adyaan ( deen ki jamma) k mukhalif he
14aankh ka gehra hona har ek k liye achha he jab k ankh ka kamzor hona maali mohtaji ki daleel he kyun k mal bamanzila aankh he agar sahib e aolad ye khawab dekhe to uski aolaad bemaar hogi
15agar ankhon ko khatam hota dekhe to uski aolaad faot hogi agar faqeer or qaidi ye khawab dekhe to unka faqar o qaid door hogi agar maqhur admi ye khwab dekhe to use dastageer milega jo uski museebat ko door karne k liye uska sahara banega jesa k nabeena ka hath bahut se log pakarte hen uski khidmat karte hen use araam pahuchate hen agar ankh ko musafir ya wo jo safar ka irada rakhta he dekhe to usk wattan wapas na laotne ki daleel he
16agar khawab me logonkolarte hue dekhe or khud ko nabeena dekhe to apne dushman se jahil rahega
17agr dekhe k uski ankh ajnabi ki ankh ban gai he touski binaai khatam hone ki alamat he or degar hazraat se rehnumai hasil karega
18agar sahib e khwab us ajnabi ko janta ho to us ajnabi se apni beti ki shadi ya us faida hasil karne ka ishara he
19 agar dekhe k uski ankhen uski god me gir gai hen to uska beta ya uska bhai faot hoga
20agar dekhe k khubsurat ankhon wali aorat ka malik bana he to kisi jahil ehmak aorat se shadi karega insani ankh ki tabeer larka dost ya deen he
21 khawab me ashub e chasham ( akhon ki bemari) dekhna deen me nuksaan ki daleel he
22andha pan deen me ziyada nuks ki daleel he
23agar deen dar dekhe k us ki aankhon ki beenai khatam ho gai he to wo tark e namaz o zakaat ya kisi aur gunah ka irtakab kare ga
24 agar insan apni sau aankhen dekhe to wo sau dirham hen jo use milen ge
25 badshah ki aankh ki tabeer jasoos he aankh se muraad raqeeb bhi he
26 agar apni aankh me nuqs dekhe to us k aur aulad men nuqs hoga
27 agar dekhe k us ki aankhen zahir e qadam par muntaqil hogai hen aur wo un se chal raha he to wo ghulam hen un se apni betiyon ki shadi kare ga
28 agar nek aadmi apni aankh me nuqs dekhe aur us ki aulad bhi na ho to us k mal ko nuqsan punhche ga baz auqat aankhon ka khatm hona marz ki daleel he
29apni ankhon ka ilaj karna deen ki islah karna he baaz hazrat kehtehen maal ki islah karna he baaz kehte hen iska larka muraad he baaz kehte hen iska ghaib bhai wapas aega or use rahat naseeb hogi
30agar dekhe k us ki beenai logon k guman se kam he to deen me us ki batni halat zahiri halat se behetar hogi
32apni aankh me sufaidi dekhna gham he ya phir apne azeez se juda ho ga
33agar dekhe k aankh ki sufaidi khatam hokar aankhen sahi hogai hen to koi lambi judai wala waapis aaye ga agar ghamgeen he to allah us ka gham door farmaye ga
34apni aankhon ko neelgon dekhna jurm ki daleel he dil ki aankh deen ki islah he aur qlbi hikmat ki daleel he jowo bayan karta he
35agar dekhe k is ki aek aankh doosri aankh me dakhil ho rahi he to agar us ka beta aur beti he to wo unhe alag alag kar de
36kisi aadmi ki aankh khana us ka mal khana he
37agar dekhe k aankhon ki palken nahe hen to deen k zaya hone ki daleel he palkon ko ukharna dushman k hathon zilat ki alamat he palkon ka sufaid hona sar kan aur aankh k marz ki daleel he badan me aek aankh ya kai aankhon kadekhna agar aam aankh jitni ho to mal he kabhi khoobsoorat aankh jadoo aur maut o hayat ki dleel he aankhen ahl o aqarab aulad aur khadmon ki daleel he
38kabhi aankhen khana uble hue ande khana he apni aankhon ko khoobsoorat dekhna hidayat ilm o baseerat ki daleel he agar us ka beta ;bivi ya koi dost beemar hoto wo tandurust hoga agar kafir ho wo musalman ho ga ,faqeer ho ghani hoga warna use apni qadar o manzilat k mutabiq bara uhda mile ga
39tiktiki bandh kar dekhna shidat ka ishara he
40agar insani aankh kisi aur jaga muntaqil ho jaye ya jism me aur aankhen ubhar aayen to badan me kisi aese zakham ka ishara he jis me khoon ya peep he
41pyas ki shidat k khauf wala musafir agar apne jism par bahut si aankhen dekhe ya zameen se unhe chune to use pani hasil ho ga kabhi bahut bari aankh allah tala ki khas inayat hoti he
42be noor aankhen allah tala ka azab hen
43agar kisi shakhs ki aankhen kisi aur par paren wo is se posheeda rehna chahta hoto ise dekh le ga kabhi kabhar aankh me takleef paun me shikayat hoti he kyon k bahut se muhabat karne wale mehboob ki zyarat me ghalat aur bahut koshishen kar k apne paun zakhmi kar lete hen
44daaien aankh bete aur baaien aankh beti par dalalat karti he
45aankh me khas o khashak ya keechar shab bedari aur bais e fakhar o dost se doori he
46agar kisi ki aankhen kan ki jaga chali jayen to wo na beena hoga kyon k andha aadmi sun kar hi maloomat hasil kar sakta he
47aankhon me surkhi kisi bat par ghusa hone ki daleel he
48 aakh ka phootna kisi cheez se tajawuzz karrna he us ki aulad munqata hogi
49aankh ukharna kisi aesi museebat ki daleel he jo aankh par nazil ho gi kabhi aesa bhi hota he jo kam insan khuwab me doosre k sath karta he bedari me us k sath hota he
50khwab me kana hona nisf mal ya nisf deen ka nuqs he ya phir kisii bare gunah me us ki nisf umar zaya hogi use allah se darna chahiye aur tauba karni chahye baqi nisf umar neki me guzarni chahiye baz hazrat kehte hen ise kahen se nafa ki umeed he baz kehte hen us ka bhai ya beta faut hoga agar nek aadmi khud ko kana dekhe to us ki sachi gawahi ki daleel he agar gunahgar aesa dekhe to us ka nisf deen hoga aur use gham museebat ya aesa marz la haq hoga jo use maut tak le jaye ga ya phir use ya aek hath ya hont ya us ki bivi bhai ya shareek ko koi museebat lahaq ho gi ya phir us se naimat zayel ho gi
اچھا خواب نعمتِ خدا وندی
حضورﷺ نے ارشاد فرمایا ” بشارتوں کے سوا کوئی چیز باقی نہیں رہی ۔ صحابہ نے عرض کیا ےیا رسولاللہ بشارتوں سے کیا مراد ہے آپ نے فرمایا سچا خواب ۔(صحیح بخاری عن ابی ھریرہ) بخاری ومسلم کی متفق علیہ حدیث ہے آنحضرت ﷺ نے ارشاد فرمایا کہ سچا خواب نبوت کا چھیاسواں حصہ ہے ۔
اس حدیث شریف معلوم ہوا کہ سچا خواب رویائے صالحہ علوم نبوت کا ایک جزو ہے اور علم نبوت باقی ہے گو انبیاءکرام کی آمد کا سلسلہ موقوف ہوچکا دوسرے لفظوں میں سچا خواب علوم نبوی کا عکس ہے۔
خواب کی اقسام
امام محمد بن سیرین ارشاد فرماتے ہیں کہ خواب تین قسم کے ہوتے ہیں ۔
1- مبشرات خداوندی –
2- تخویفِ شیطان) شیطان کے زیرِ اثر ) –
3- حدیثِ نفس یعنی ذہنی اور دماغی خیلات کا عکس –
اس تقسیم سے ظاہر ہوتا ہے کہ خواب کے تمام اقسام صحیح قابلِ تعبیر اوردر خوراعتناء نہیں ہوتے تعبیر اور اعتبار کے لائق وہی خواب ہوتے ہیں جو حق تعالیٰ کی طرف سے بشارت اور اعلام پر مبنی ہوں۔
علم تعبیر کے چھ مشہور امام |
-علم تعبیر میں درج ذیل چھ آئمہ کرام کے اقوال کے بطور سند پیش کیا جاتا ہے 1 حضرت دانیال علیہ اسلام 2 حضرت امام جعفر صادق رضی اللہ تعالیٰ علیہ 3 حضرت امام محمد بن سرین رحمتہ اللہ علیہ 4 حضرت امام جابر مغربی رضی اللہ تعالیٰ علیہ 5 حضرت امام ابراہیم کرمانی علیہ رحمتہ اللہ علیہ 6 حضرت امام اسمعیل بن شوکت رحمتہ اللہ علیہ |
تعبیر بیان کرنے کیلئے ضروری علوم |
۔علم تفسیرعلم ضرب الامثالعلم حدیثاشعار عربعلم اشتقاق (صرف)نوادرعلم الغاتعلم الفاظ متد اَولہچنانچہ ایسے علماء ہے تعبیر بیان کرنے کے اہل ہیں جو ان علوم کے ماہر اور متقی پرہیزگار ہوں ۔ |