Khawab Nama Khwab Main Buniyaad Rakhna
Khawab Nama Khwab Main Buniyaad Rakhna
Khawab Nama Khwab Main Buniyaad Rakhna
Khawab Nama Khwab Main Buniyaad Rakhna
Hazrat ibne sereen (R.A) ne prmaya hai ke ager khwab main dekhe ke us ne nai new bunyad rakhhi hai to daleel hai ke usi qadr khas o aam se fayida dekhe ga.or ager na malom jaga pr bunyad rakhi hai or malom nahin ke kis ki mulk hai to daleel hai ke deen o dunya ka kaam befayida rahe ga.or ager dekhe ke bunyad ko zameen par or apne mulk main rakha hai to daleel hai ke halaal rozii ka fayida uthae ga.
Hazrat ibrahim karmani (R.A)ne farmaya hai ke ager koi shakhs dekhe ke bunyad paki eentt or chone ki rakhi hai to daleel hai ke us ko maal e haraam milega .or ager dekhe ke kachi eentt ki bunyad rakhi hai to daleel hai ke deen ke kaam main us ka martabh buland hoga .or ager dekhe ke eent ki buniad rakhi hai or upar uthai hai to daleel hai ke dunya ke kaamon main masroof hoga .
agar sahib e khwab khud bunyaad rakhta he aor mazdoori leta he to iska matlab he usko faaida hoga agar dekhe k pakki eent ki bunyaad rakhi he to daleel he badshah se faida mile ga agar dekhe k kachhi eent aor gaarey se bana kar bunyaad ko uncha kia he to daleel he aam aadmiyoun se faaida hasil kare ga
hazrat jafar saadiq ne farmaya agar dekhe k usne shaher banaya he to daleel he logon ki jamaat ko apni panah gah me le ga agar dekhe k qilla banaya he to daleel he dushmano ki shararat se amman me rahe ga agar dekhe k mahel banaya he to daleel he dunya k kaamon me mashghool hoga agar dekhe k makaan banaya he aor us me baitha he to daleel he faide ki chiz dekhe ga
agar dekhe k masjid banai he to daleel he logon ko islaah k kaam me laaye ga agar dekhe k minaar ki bunyaad rakhi he to daleel he uska naam khairaat me zaahir hoga agar dekhe k naqsh dar chiz banai he to daleel he aorat kare ga agar dekhe k hamaam banaya he to daleel he ranj o gham me parre ga
agar dekhe k baagh banaya he to daleel he paarsa aor daolat mand aorat se shadi kare ga agar dekhe k goristaan (qabrustaan) banaya he to daleel he k aakhirat k kamoon men mashgool hoga or agar dekhe k qubba banaya he to daleel he k qadr o manzilat ki talaash kare ga or jis bunyaad ko dekhe k tayar kar li he daleel he k dunya or aakhirat ka kaam poora kare ga agar ise na tamam (na mukammal) chhore to us ka kaam na mukamal ho ga
اچھا خواب نعمتِ خدا وندی
حضورﷺ نے ارشاد فرمایا ” بشارتوں کے سوا کوئی چیز باقی نہیں رہی ۔ صحابہ نے عرض کیا ےیا رسولاللہ بشارتوں سے کیا مراد ہے آپ نے فرمایا سچا خواب ۔(صحیح بخاری عن ابی ھریرہ) بخاری ومسلم کی متفق علیہ حدیث ہے آنحضرت ﷺ نے ارشاد فرمایا کہ سچا خواب نبوت کا چھیاسواں حصہ ہے ۔
اس حدیث شریف معلوم ہوا کہ سچا خواب رویائے صالحہ علوم نبوت کا ایک جزو ہے اور علم نبوت باقی ہے گو انبیاءکرام کی آمد کا سلسلہ موقوف ہوچکا دوسرے لفظوں میں سچا خواب علوم نبوی کا عکس ہے۔
خواب کی اقسام
امام محمد بن سیرین ارشاد فرماتے ہیں کہ خواب تین قسم کے ہوتے ہیں ۔
1- مبشرات خداوندی –
2- تخویفِ شیطان) شیطان کے زیرِ اثر ) –
3- حدیثِ نفس یعنی ذہنی اور دماغی خیلات کا عکس –
اس تقسیم سے ظاہر ہوتا ہے کہ خواب کے تمام اقسام صحیح قابلِ تعبیر اوردر خوراعتناء نہیں ہوتے تعبیر اور اعتبار کے لائق وہی خواب ہوتے ہیں جو حق تعالیٰ کی طرف سے بشارت اور اعلام پر مبنی ہوں۔
علم تعبیر کے چھ مشہور امام |
-علم تعبیر میں درج ذیل چھ آئمہ کرام کے اقوال کے بطور سند پیش کیا جاتا ہے 1 حضرت دانیال علیہ اسلام 2 حضرت امام جعفر صادق رضی اللہ تعالیٰ علیہ 3 حضرت امام محمد بن سرین رحمتہ اللہ علیہ 4 حضرت امام جابر مغربی رضی اللہ تعالیٰ علیہ 5 حضرت امام ابراہیم کرمانی علیہ رحمتہ اللہ علیہ 6 حضرت امام اسمعیل بن شوکت رحمتہ اللہ علیہ |
تعبیر بیان کرنے کیلئے ضروری علوم |
۔علم تفسیرعلم ضرب الامثالعلم حدیثاشعار عربعلم اشتقاق (صرف)نوادرعلم الغاتعلم الفاظ متد اَولہچنانچہ ایسے علماء ہے تعبیر بیان کرنے کے اہل ہیں جو ان علوم کے ماہر اور متقی پرہیزگار ہوں ۔ |